Agar woh poch leyn hum se tumahe kis bat ka ghum hei
Tu per kis bat ka ghum ho agar woh poch leyen hum se!

Taqaz Kare Koi....

Mujhe yeh aarzo woh uthae naqab khud
Unn ko yeh intzar taqaza kare koi
Khoshion ki sham aur yadon ka yeh samann
Apni palkun pe hargiz sitary no leyen gye
Rakhna sanbhal kar chand khoshian mere leye
Mein lot aun ga tu eid manayen gey
Hum se mohbaton ki namaish na ho saki
Hann itna jante hein tumhe chate hain hum

Bhrosa Kon Kare.....

Phir unn ki gali main jaye ga, phir sahuu ka sajda kar ley ga
Iss dil pe bharosa kon kare har roz muslman hota hei...

Wohi Sabb Kuch Tha....

Woh mere paas tha
Tu yeh ehsas tha
Woh hei tu sahii per khuch khass nahi
Who chala gaya tu yeh dard howa
Wohi sab kuch tha jo mere pass nahi

Tannhai

Woh mere paas tha
Tu yeh ehsas tha
Woh hei tu sahii per khuch khass nahi
Who chala gaya tu yeh dard howa
Wohi sab kuch tha jo mere pass nahi

Tum Bin....Hum Adhore

Ghum naa kar tere liye charag ban jaun ga
Khud Jall kar teri rahh main roshni kar jaun ga
Darr hai ky mujh se raswain na milen tumhen
tark e taulaq mein khud se hi kar jaun ga
tere aanchal main houn phool khwash meri
apna damann mein kantoun se bhar jaun ga
lakh bholane se bhi na bhool sakau gi tum
mein pyar hi tum se itna kar jaun ga

Kaash...........

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa 
tuu ba.De pyaar se
ba.De chaao se
ba.De aramaan ke saath 
apanii naazuk sii kalaa_ii me.n cha.Dhaatii mujh ko 
aur
betaabii se furqat ke Khizaa.N lamho.n me.n 
tuu kisii soch me.n Duubii jo ghumaatii mujh ko 
mai.n tere haath kii Khushbuu se mahak saa jaataa 
jab kabhii
muuD me.n aa kar mujhe chuumaa karatii 
tere ho.nTho.n kii shiddat se mai.n dahak saa jaataa  
raat ko
jab bhii tuu niindo.n ke safar par jaatii 
marmarii haath kaa ik takiyaa banaayaa karatii
mai.n tere kaan se lag kar ka_ii baate.n karataa
terii zulfo.n ko tere gaal ko chuumaa karataa
jab bhii
tuu band qabaa kholane lagatii jaanaa.N 
apanii aa.Nkho.n ko tere husn se kheraa karataa 
mujh ko betaab saa rakhataa terii chaahat kaa nashaa 
mai.n terii ruuh ke gulashan me.n mahakataa rahataa 
mai.n tere jism ke aa.Ngan me.n khanakataa rahataa 
kuchh nahii.n to yahii benaam saa bandhan hotaa  
kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa
Click here to start trading with HY Markets